na chahte hue honTon ko khol lete hain
na chāhte hue hoñToñ ko khol lete haiñ
jhiñjhoḌtā koī andar to bol lete haiñ
ham aisoñ ko nahīñ raas ātīñ muft kī chīzeñ
ham aise log musībat bhī mol lete haiñ
ziyāda der nahīñ lagtī ab samajhne meñ
do-chār bātoñ meñ logoñ ko tol lete haiñ
yahāñ to dastakoñ par dar bhī kholte nahīñ log
hamāre gaañv meñ to dil bhī khol lete haiñ
na chahte hue honTon ko khol lete hain
jhinjhoDta koi andar to bol lete hain
hum aison ko nahin ras aatin muft ki chizen
hum aise log musibat bhi mol lete hain
ziyaada der nahin lagti ab samajhne mein
do-chaar baaton mein logon ko tol lete hain
yahan to dastakon par dar bhi kholte nahin log
hamare ganw mein to dil bhi khol lete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.