na chhin le kahin tanhai Dar sa rahta hai
na chhīn le kahīñ tanhā.ī Dar sā rahtā hai
mire makāñ meñ vo dīvār-o-dar sā rahtā hai
kabhī kabhī to ubhartī hai chīḳh sī koī
kahīñ kahīñ mire andar khañDar sā rahtā hai
vo āsmāñ ho ki parchhā.īñ ho ki terā ḳhayāl
koī to hai jo mirā ham-safar sā rahtā hai
maiñ joḌ joḌ ke jis ko zamāna kartā huuñ
vo mujh meñ TuuTā huā lamha bhar sā rahtā hai
zarā sā nikle to ye shahr ulaT palaT jaa.e
vo apne ghar meñ bahut be-zarar sā rahtā hai
bulā rahā thā vo dariyā ke paar se ik din
jabhī se paañv meñ mere bhañvar sā rahtā hai
na jaane kaisī girānī uThā.e phirtā huuñ
na jaane kyā mire kāñdhe pe sar sā rahtā hai
chalo 'salīm' zarā kuchh ilāj-e-jāñ kar leñ
yahīñ kahīñ pe koī chāra-gar sā rahtā hai
na chhin le kahin tanhai Dar sa rahta hai
mere makan mein wo diwar-o-dar sa rahta hai
kabhi kabhi to ubharti hai chiKH si koi
kahin kahin mere andar khanDar sa rahta hai
wo aasman ho ki parchhain ho ki tera KHayal
koi to hai jo mera ham-safar sa rahta hai
main joD joD ke jis ko zamana karta hun
wo mujh mein TuTa hua lamha bhar sa rahta hai
zara sa nikle to ye shahr ulaT palaT jae
wo apne ghar mein bahut be-zarar sa rahta hai
bula raha tha wo dariya ke par se ek din
jabhi se panw mein mere bhanwar sa rahta hai
na jaane kaisi girani uThae phirta hun
na jaane kya mere kandhe pe sar sa rahta hai
chalo 'salim' zara kuchh ilaj-e-jaan kar len
yahin kahin pe koi chaara-gar sa rahta hai
- Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 56)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 58)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2017)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.