na dawa de mujhe dua de de
na davā de mujhe duā de de
koī mauhūm aasrā de de
aur kyā māñgtā hai ḳhāliq se
kyā koī dūsrā ḳhudā de de
ain mumkin hai ab ke sun hī le
tū zarā āḳhirī sadā de de
aise dil-tañg haiñ ye ahl-e-havas
apnī pūñjī unheñ gadā de de
un kā apnā hai terā apnā tarīq
jo bure hoñ unheñ bhalā de de
ḳhud hī pā leñge raah manzil kī
jo zarā sī tū ḳhāk-e-pā de de
na dawa de mujhe dua de de
koi mauhum aasra de de
aur kya mangta hai KHaliq se
kya koi dusra KHuda de de
ain mumkin hai ab ke sun hi le
tu zara aaKHiri sada de de
aise dil-tang hain ye ahl-e-hawas
apni punji unhen gada de de
un ka apna hai tera apna tariq
jo bure hon unhen bhala de de
KHud hi pa lenge rah manzil ki
jo zara si tu KHak-e-pa de de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.