na de fareb-e-wafa le na imtihan apna
na de fareb-e-wafa le na imtihan apna
Abdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari
MORE BYAbdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari
na de fareb-e-vafā le na imtihāñ apnā
hai be-niyāz-e-karam yār-e-bad-gumāñ apnā
pahuñch chuke the sar-e-shāḳh-e-gul asiir hue
luTā hai sāmne manzil ke kārvāñ apnā
har ek zarra-e-ālam hai aur sajda-e-shauq
rakheñ uThā ke vo ab sañg-e-āstāñ apnā
vahī hai ālam-e-afsurdagī vahī ham haiñ
ḳhushī kā jis meñ guzar ho vo dil kahāñ apnā
nigāh-e-yās hai tafsīr-e-sad-hazār niyāz
sukūt laakh bayānoñ kā ik bayāñ apnā
fareb hī sahī taskīn kuchh to hai dil ko
rahe ḳhudā kare qaa.em yūñhī gumāñ apnā
vafā kā naam hī duniyā se uTh chukā 'kaifī'
kahāñ zamāne meñ ab koī qadr-dāñ apnā
na de fareb-e-wafa le na imtihan apna
hai be-niyaz-e-karam yar-e-bad-guman apna
pahunch chuke the sar-e-shaKH-e-gul asir hue
luTa hai samne manzil ke karwan apna
har ek zarra-e-alam hai aur sajda-e-shauq
rakhen uTha ke wo ab sang-e-astan apna
wahi hai aalam-e-afsurdagi wahi hum hain
KHushi ka jis mein guzar ho wo dil kahan apna
nigah-e-yas hai tafsir-e-sad-hazar niyaz
sukut lakh bayanon ka ek bayan apna
fareb hi sahi taskin kuchh to hai dil ko
rahe KHuda kare qaem yunhi guman apna
wafa ka nam hi duniya se uTh chuka 'kaifi'
kahan zamane mein ab koi qadr-dan apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.