na dekhen kamtari ab kamtaron ki
na dekheñ kamtarī ab kamtaroñ kī
isī meñ behtarī hai behtaroñ kī
karo tum laakh ārā.ish gharoñ kī
zarūrat kam na hogī maqbaroñ kī
yahāñ thak jaa.e na neza tumhārā
mirī bastī hai bastī ḳhud-suroñ kī
siyāsat ne paḌhā rahzan kā kalma
baḌī zillat huī hai rahbaroñ kī
chaman ko ye nayā mausam mubārak
uḌegī fāḳhta ab be-paroñ kī
ḳhudā rakkhe dil-e-īzā-talab ko
zabāñ chaltī rahegī nashtaroñ kī
ḳhushā qātil kī shān-e-shahr-yārī
manā.eñ ḳhair ham apne saroñ kī
nazar aatā nahīñ apnā garebāñ
burā.ī kar rahe haiñ dūsroñ kī
'valī' jī pīr-e-mai-ḳhāna bane haiñ
ināyat hai ġhazal ke dilbaroñ kī
na dekhen kamtari ab kamtaron ki
isi mein behtari hai behtaron ki
karo tum lakh aaraish gharon ki
zarurat kam na hogi maqbaron ki
yahan thak jae na neza tumhaara
meri basti hai basti KHud-suron ki
siyasat ne paDha rahzan ka kalma
baDi zillat hui hai rahbaron ki
chaman ko ye naya mausam mubarak
uDegi faKHta ab be-paron ki
KHuda rakkhe dil-e-iza-talab ko
zaban chalti rahegi nashtaron ki
KHusha qatil ki shan-e-shahr-yari
manaen KHair hum apne saron ki
nazar aata nahin apna gareban
burai kar rahe hain dusron ki
'wali' ji pir-e-mai-KHana bane hain
inayat hai ghazal ke dilbaron ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.