na dekho
dukhegā aur merā man na dekho
baḌhegī aur bhī uljhan na dekho
hañsātā huuñ sabhoñ ko bas ye dekho
mirā bhīgā huā dāman na dekho
tum apne chāk-dāman kī ḳhabar lo
mirā bosīda pairāhan na dekho
ḳhud apne aap se Dar jāoge tum
añdhere meñ kabhī darpan na dekho
na harf aa.e kahīñ mardāngī par
burī nazroñ se husn-e-zan na dekho
agar hai husn be-parda to dekho
magar tum jānib-e-chilman na dekho
sahī likkho to āñkheñ band kar lo
jo hotī hai koī qadġhan na dekho
faqat tanqīd hī karne kī ḳhātir
nazar vāloñ kisī kā fan na dekho
kisī bekas kī duḳhtar byaah laao
sharāfat dekho us kā dhan na dekho
ye dekho ghar meñ dīvāreñ haiñ chhat hai
baḌā-chhoTā kabhī āñgan na dekho
abhī sab zaḳhm taaza aur hare haiñ
abhī tum 'ḳhvāh-maḳhvāh' nāḳhan na dekho
dukhega aur mera man na dekho
baDhegi aur bhi uljhan na dekho
hansata hun sabhon ko bas ye dekho
mera bhiga hua daman na dekho
tum apne chaak-daman ki KHabar lo
mera bosida pairahan na dekho
KHud apne aap se Dar jaoge tum
andhere mein kabhi darpan na dekho
na harf aae kahin mardangi par
buri nazron se husn-e-zan na dekho
agar hai husn be-parda to dekho
magar tum jaanib-e-chilman na dekho
sahi likkho to aankhen band kar lo
jo hoti hai koi qadghan na dekho
faqat tanqid hi karne ki KHatir
nazar walon kisi ka fan na dekho
kisi bekas ki duKHtar byah lao
sharafat dekho us ka dhan na dekho
ye dekho ghar mein diwaren hain chhat hai
baDa-chhoTa kabhi aangan na dekho
abhi sab zaKHm taza aur hare hain
abhi tum 'KHwah-maKHwah' naKHan na dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.