na dil bhara hai na ab nam raha hai aankhon mein
na dil bharā hai na ab nam rahā hai āñkhoñ meñ
kabhū jo ro.e the ḳhuuñ jam rahā hai āñkhoñ meñ
maiñ mar chukā huuñ pe tere hī dekhne ke liye
habāb-vār tanik dam rahā hai āñkhoñ meñ
muvāfaqat kī bahut shahriyoñ se maiñ lekin
vahī ġhazāl abhī ram rahā hai āñkhoñ meñ
vo mahv huuñ ki misāl-e-habāb-e-ā.īna
jigar se ashk nikal tham rahā hai āñkhoñ meñ
basān-e-ashk hai 'qā.em' tū jab se āvāra
vaqār tab se tirā kam rahā hai āñkhoñ meñ
na dil bhara hai na ab nam raha hai aankhon mein
kabhu jo roe the KHun jam raha hai aankhon mein
main mar chuka hun pe tere hi dekhne ke liye
habab-war tanik dam raha hai aankhon mein
muwafaqat ki bahut shahriyon se main lekin
wahi ghazal abhi ram raha hai aankhon mein
wo mahw hun ki misal-e-habab-e-aina
jigar se ashk nikal tham raha hai aankhon mein
basan-e-ashk hai 'qaem' tu jab se aawara
waqar tab se tera kam raha hai aankhon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.