na farsh-e-KHak pe Thahrenge naqsh-e-pa ki tarah
na farsh-e-ḳhāk pe Thahreñge naqsh-e-pā kī tarah
ravāñ-davāñ haiñ fazāoñ meñ ham havā kī tarah
pukār vaqt kī nazdīk thī magar ham ne
sunā hai duur se aatī huī sadā kī tarah
sazā.eñ detī hai makr-o-fareb kī duniyā
sadāqatoñ kā hai iz.hār ik ḳhatā kī tarah
ḳhudā kare tujhe ehsās-e-dard-o-ġham na rahe
duā-e-ḳhair vo dete haiñ bad-duā kī tarah
na ho suḳhan meñ jo shān-e-payambarī mumkin
ḳhamosh rah ke bhī dekheñ zarā ḳhudā kī tarah
jhalak dikhā.e kahīñ to umiid kā sūraj
hujūm-e-yās hai umDī huī ghaTā kī tarah
na farsh-e-KHak pe Thahrenge naqsh-e-pa ki tarah
rawan-dawan hain fazaon mein hum hawa ki tarah
pukar waqt ki nazdik thi magar hum ne
suna hai dur se aati hui sada ki tarah
sazaen deti hai makr-o-fareb ki duniya
sadaqaton ka hai izhaar ek KHata ki tarah
KHuda kare tujhe ehsas-e-dard-o-gham na rahe
dua-e-KHair wo dete hain bad-dua ki tarah
na ho suKHan mein jo shan-e-payambari mumkin
KHamosh rah ke bhi dekhen zara KHuda ki tarah
jhalak dikhae kahin to umid ka suraj
hujum-e-yas hai umDi hui ghaTa ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.