na ghaur se dekh mere dil ka kabaad aise
na ġhaur se dekh mere dil kā kabāḌ aise
ki maiñ kabhī bhī nahīñ rahā thā ujaaḌ aise
burā ho terā jo band rakhe the maiñ ne ghar ke
to khol aayā baġhair pūchhe kivāḌ aise
jo merī rūh-o-badan ke Tāñke udheḌ Daale
to merī nazroñ pe apnī nazroñ ko gaaḌ aise
samajh na paayā ki toḌ detā yā saath rakhtā
ki is ta.alluq meñ aa ga.ī thī darāḌ aise
ai ishq! rah jā.ūñ phaḌphaḌā ke yuuñ kar de be-bas
so merī gardan meñ apne dāñtoñ ko gaaḌ aise
to merī aadat se merī fitrat hī ho chalā hai
abhī bhī kahtā huuñ mujh ko tū na bigāḌ aise
ye mere baazū hī jañg kā faisla kareñge
pakaḌ le talvār aur mujh ko pachhāḌ aise
tumhāre ġham kā pahāḌ TuuTā to phir ye jaanā
pahāḌoñ par hī to TūTte haiñ pahāḌ aise
hazār minnat hazār minnat hazār mehnat
tujhe manāne ko kar rahā huuñ jugāḌ aise
na ghaur se dekh mere dil ka kabaD aise
ki main kabhi bhi nahin raha tha ujaD aise
bura ho tera jo band rakhe the main ne ghar ke
to khol aaya baghair puchhe kiwaD aise
jo meri ruh-o-badan ke Tanke udheD Dale
to meri nazron pe apni nazron ko gaD aise
samajh na paya ki toD deta ya sath rakhta
ki is talluq mein aa gai thi daraD aise
ai ishq! rah jaun phaDphaDa ke yun kar de be-bas
so meri gardan mein apne danton ko gaD aise
to meri aadat se meri fitrat hi ho chala hai
abhi bhi kahta hun mujh ko tu na bigaD aise
ye mere bazu hi jang ka faisla karenge
pakaD le talwar aur mujh ko pachhaD aise
tumhaare gham ka pahaD TuTa to phir ye jaana
pahaDon par hi to TuTte hain pahaD aise
hazar minnat hazar minnat hazar mehnat
tujhe manane ko kar raha hun jugaD aise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.