na gaya KHayal-e-zulf-e-siyah jafa-shaaran
na gayā ḳhayāl-e-zulf-e-siyah jafā.-sha.ārāñ
na huā ki sub.h hove shab-e-tīra rozgārāñ
na kahā thā ai rafūgar tire Tāñke hoñge Dhīle
na siyā gayā ye āḳhir dil-e-chāk-e-be-qarārāñ
huī iid sab ne pahne tarab-o-ḳhushī ke jaame
na huā ki ham bhī badleñ ye libās-e-sogovārāñ
ḳhatar aziim meñ haiñ mirī āh-o-ashk se sab
ki jahān rah chukā phir jo yahī hai bād-o-bārāñ
kahīñ ḳhāk-e-kū ko us kī tū sabā na diijo jumbish
ki bhare haiñ is zamīñ meñ jigar jigar-figārāñ
rakhe tāj-e-zar ko sar par chaman zamāna meñ gil
na shagufta ho tū itnā ki ḳhizāñ hai ye bahārāñ
nahīñ tujh ko chashm-e-ibrat ye numūd meñ hai varna
ki ga.e haiñ ḳhaak meñ mil ka.ī tujh se tāj-dārāñ
tū jahāñ se dil uThā yaañ nahīñ rasm-e-dardmandī
kisī ne bhī yuuñ na pūchhā hue ḳhaak yaañ hazārāñ
ye ajal se jī chhupānā mirā āshkār haigā
ki ḳharāb hogā mujh bin ġham-e-ishq gul-azārāñ
ye sunā thā 'mīr' ham ne ki fasāna ḳhvāb lā hai
tirī sar-guzasht sun kar ga.e aur ḳhvāb yārāñ
na gaya KHayal-e-zulf-e-siyah jafa-shaaran
na hua ki subh howe shab-e-tira rozgaran
na kaha tha ai rafugar tere Tanke honge Dhile
na siya gaya ye aaKHir dil-e-chaak-e-be-qararan
hui id sab ne pahne tarab-o-KHushi ke jame
na hua ki hum bhi badlen ye libas-e-sogowaran
KHatar azim mein hain meri aah-o-ashk se sab
ki jahan rah chuka phir jo yahi hai baad-o-baran
kahin KHak-e-ku ko us ki tu saba na dijo jumbish
ki bhare hain is zamin mein jigar jigar-figaran
rakhe taj-e-zar ko sar par chaman zamana mein gil
na shagufta ho tu itna ki KHizan hai ye bahaaran
nahin tujh ko chashm-e-ibrat ye numud mein hai warna
ki gae hain KHak mein mil kai tujh se taj-daran
tu jahan se dil uTha yan nahin rasm-e-dardmandi
kisi ne bhi yun na puchha hue KHak yan hazaran
ye ajal se ji chhupana mera aashkar haiga
ki KHarab hoga mujh bin gham-e-ishq gul-azaran
ye suna tha 'mir' hum ne ki fasana KHwab la hai
teri sar-guzasht sun kar gae aur KHwab yaran
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0290
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.