na gila na koi shikayat ki
na gila na koī shikāyat kī
us ne har baat hasb-e-ādat kī
kyoñ ḳhafā ho janāb-e-isrāfīl
us ne kyā phir koī qayāmat kī
kab se is kashmakash meñ huuñ yaaro
āshiqī kī hai yā himāqat kī
us ne ā.īn-e-ishq na samjhā
us ne rishtoñ meñ bhī siyāsat kī
vo bhī zālim kī saf meñ hai shāmil
jis ne bhī zulm kī himāyat kī
na gila na koi shikayat ki
us ne har baat hasb-e-adat ki
kyon KHafa ho janab-e-israfil
us ne kya phir koi qayamat ki
kab se is kashmakash mein hun yaro
aashiqi ki hai ya himaqat ki
us ne aain-e-ishq na samjha
us ne rishton mein bhi siyasat ki
wo bhi zalim ki saf mein hai shamil
jis ne bhi zulm ki himayat ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.