na gire kahin na hare hue kai sal se
na gire kahīñ na hare hue ka.ī saal se
yūñhī ḳhushk paat juḌe rahe tirī Daal se
koī lams thā jo sarāpā aañkh banā rahā
koī phuul jhāñktā rah gayā kisī shaal se
tirī kā.enāt se kuchh ziyāda talab nahīñ
faqat ek motī hī motiyoñ bhare thaal se
tū vo sāhira ki tilism terā uruuj par
maiñ vo aag huuñ jo bujhegī tere zavāl se
tire mausamoñ ke taġhayyurāt ajiib haiñ
maiñ qabā banāne lagā huuñ peḌ kī chhāl se
na gire kahin na hare hue kai sal se
yunhi KHushk pat juDe rahe teri Dal se
koi lams tha jo sarapa aankh bana raha
koi phul jhankta rah gaya kisi shaal se
teri kaenat se kuchh ziyaada talab nahin
faqat ek moti hi motiyon bhare thaal se
tu wo sahira ki tilism tera uruj par
main wo aag hun jo bujhegi tere zawal se
tere mausamon ke taghayyuraat ajib hain
main qaba banane laga hun peD ki chhaal se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.