na gul khile na shagufon pe tazgi aai
na gul khile na shagūfoñ pe tāzgī aa.ī
ḳhizāñ ke ba.ad chaman meñ bahār bhī aa.ī
hujūm-e-ġham meñ kahāñ fursat-e-tabassum bhī
zarā bhī yaad nahīñ kab mujhe hañsī aa.ī
koī bhī jāda-e-nau ḳhud-baḳhud nahīñ bantā
ye baat samjhoge jis roz kaj-ravī aa.ī
maiñ ik shajar huuñ uThāte haiñ fā.eda sab log
na dushmanī mirā sheva na be-ruḳhī aa.ī
hamāre saath hamesha ye hādisa guzrā
badal ke bhes raqābat kā dostī aa.ī
zamīñ to ḳhud hī chamaktā huā sitāra hai
na jaane kaise yahāñ tīrgī chalī aa.ī
ġham-e-hayāt salāmat tujhe ḳhudā rakkhe
tire sabab ġham-e-jānāñ meñ puḳhtagī aa.ī
hazār baar sunī hausla-shikan bāteñ
mirī jabīñ pe na koī shikan kabhī aa.ī
kalī ko kaun tabassum se rok saktā hai
savāl ye hai ki phūloñ ko kyuuñ hañsī aa.ī
añdherī raat kā manzar hamesha rahtā hai
kiran ujāle kī ghar meñ kabhī kabhī aa.ī
ḳhudā ke naam pe mardum-kushī rahī jaarī
lahūluhān hī aa.ī hai jo sadī aa.ī
na gul khile na shagufon pe tazgi aai
KHizan ke baad chaman mein bahaar bhi aai
hujum-e-gham mein kahan fursat-e-tabassum bhi
zara bhi yaad nahin kab mujhe hansi aai
koi bhi jada-e-nau KHud-baKHud nahin banta
ye baat samjhoge jis roz kaj-rawi aai
main ek shajar hun uThate hain faeda sab log
na dushmani mera shewa na be-ruKHi aai
hamare sath hamesha ye hadisa guzra
badal ke bhes raqabat ka dosti aai
zamin to KHud hi chamakta hua sitara hai
na jaane kaise yahan tirgi chali aai
gham-e-hayat salamat tujhe KHuda rakkhe
tere sabab gham-e-jaanan mein puKHtagi aai
hazar bar suni hausla-shikan baaten
meri jabin pe na koi shikan kabhi aai
kali ko kaun tabassum se rok sakta hai
sawal ye hai ki phulon ko kyun hansi aai
andheri raat ka manzar hamesha rahta hai
kiran ujale ki ghar mein kabhi kabhi aai
KHuda ke nam pe mardum-kushi rahi jari
lahuluhan hi aai hai jo sadi aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.