Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na haara hai ishq aur na duniya thaki hai

Khumar Barabankavi

na haara hai ishq aur na duniya thaki hai

Khumar Barabankavi

MORE BYKhumar Barabankavi

    na haarā hai ishq aur na duniyā thakī hai

    diyā jal rahā hai havā chal rahī hai

    sukūñ sukūñ hai ḳhushī ḳhushī hai

    tirā ġham salāmat mujhe kyā kamī hai

    khaTak gudgudī mazā de rahī hai

    jise ishq kahte haiñ shāyad yahī hai

    vo maujūd haiñ aur un kamī hai

    mohabbat bhī tanhā.ī-e-dā.imī hai

    charāġhoñ ke badle makāñ jal rahe haiñ

    nayā hai zamāna na.ī raushnī hai

    are o jafāoñ pe chup rahne vaalo

    ḳhamoshī jafāoñ tā.īd bhī hai

    mire rāhbar mujh ko gumrāh kar de

    sunā hai ki manzil qarīb aa ga.ī hai

    'ḳhumār'-e-balā-nosh aur tauba

    tujhe zāhidoñ nazar lag ga.ī hai

    na haara hai ishq aur na duniya thaki hai

    diya jal raha hai hawa chal rahi hai

    sukun hi sukun hai KHushi hi KHushi hai

    tera gham salamat mujhe kya kami hai

    khaTak gudgudi ka maza de rahi hai

    jise ishq kahte hain shayad yahi hai

    wo maujud hain aur un ki kami hai

    mohabbat bhi tanhai-e-daimi hai

    charaghon ke badle makan jal rahe hain

    naya hai zamana nai raushni hai

    are o jafaon pe chup rahne walo

    KHamoshi jafaon ki taid bhi hai

    mere rahbar mujh ko gumrah kar de

    suna hai ki manzil qarib aa gai hai

    'KHumar'-e-bala-nosh tu aur tauba

    tujhe zahidon ki nazar lag gai hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Khumar Barabankavi

    Khumar Barabankavi

    Khumar Barabankavi

    Khumar Barabankavi

    RECITATIONS

    Khumar Barabankavi

    Khumar Barabankavi,

    Khumar Barabankavi

    na haara hai ishq aur na duniya thaki hai Khumar Barabankavi

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now