na hum apne na wo apne na dil apna na raaz apna
na ham apne na vo apne na dil apnā na raaz apnā
man-o-tū ke jahāñ meñ hai yahī bas imtiyāz apnā
zabāñ un kī hai zikr un kā ḳhayāl un kā hai yaad un kī
na harf-e-naġhma apnā hai na koī tār-e-sāz apnā
do ik be-rang aañsū haiñ do ik be-rabt bāteñ haiñ
na rūdād apnī tūlānī na afsāna darāz apnā
nahīñ mā'lūm ki kaun aa.egā kab aa.egā lekin
dar-e-dīda bhī vā hai aur dar-e-dil bhī hai baaz apnā
ġham-e-jāñ māya-e-rahmat ġham-e-jāñ daulat-e-taskīñ
yahī kuchh kā.enāt apnī yahī kuchh barg-o-sāz apnā
bi-hamdillāh apnī chashm-e-tar hai bā-vazū daa.im
bi-hamdillāh dil har dam hai masrūf-e-namāz apnā
dil apnā saaf hai mānind-e-māh-e-zau-fishāñ 'fitrat'
'ayāñ haiñ sab pe aur rakhte nahīñ haiñ koī raaz apnā
na hum apne na wo apne na dil apna na raaz apna
man-o-tu ke jahan mein hai yahi bas imtiyaz apna
zaban un ki hai zikr un ka KHayal un ka hai yaad un ki
na harf-e-naghma apna hai na koi tar-e-saz apna
do ek be-rang aansu hain do ek be-rabt baaten hain
na rudad apni tulani na afsana daraaz apna
nahin ma'lum ki kaun aaega kab aaega lekin
dar-e-dida bhi wa hai aur dar-e-dil bhi hai baz apna
gham-e-jaan maya-e-rahmat gham-e-jaan daulat-e-taskin
yahi kuchh kaenat apni yahi kuchh barg-o-saz apna
bi-hamdillah apni chashm-e-tar hai ba-wazu daim
bi-hamdillah dil har dam hai masruf-e-namaz apna
dil apna saf hai manind-e-mah-e-zau-fishan 'fitrat'
'ayan hain sab pe aur rakhte nahin hain koi raaz apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.