na hum dua se ab na wafa se talab karen
na ham duā se ab na vafā se talab kareñ
ishq-e-butāñ meñ sabr ḳhudā se talab kareñ
dil ḳhaak ho gayā hai tirī rahguzār meñ
gar jā sakeñ vahāñ to sabā se talab kareñ
āḳhir ḳhushī to ishq se hāsil na kuchh huī
ham ab ġham-o-alam hī balā se talab kareñ
ġhamze ne le ke dil ko adā ke kiyā supurd
ġhamze se dil ko leñ ki adā se talab kareñ
daulat jo faqr kī hai so hai apne dil ke paas
vo chiiz ye nahīñ ki gadā se talab kareñ
darvāza go khulā hai ijābat kā par 'hasan'
ham kis kis aarzū ko ḳhudā se talab kareñ
na hum dua se ab na wafa se talab karen
ishq-e-butan mein sabr KHuda se talab karen
dil KHak ho gaya hai teri rahguzar mein
gar ja saken wahan to saba se talab karen
aaKHir KHushi to ishq se hasil na kuchh hui
hum ab gham-o-alam hi bala se talab karen
ghamze ne le ke dil ko ada ke kiya supurd
ghamze se dil ko len ki ada se talab karen
daulat jo faqr ki hai so hai apne dil ke pas
wo chiz ye nahin ki gada se talab karen
darwaza go khula hai ijabat ka par 'hasan'
hum kis kis aarzu ko KHuda se talab karen
- Deewan-e-Meer Hasan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.