na haram ki hai mujhe justuju na dar-e-butan ki talash hai
na haram ki hai mujhe justuju na dar-e-butan ki talash hai
Wali Kakoravi
MORE BYWali Kakoravi
na haram kī hai mujhe justujū na dar-e-butāñ kī talāsh hai
tire naqsh-e-pā kī hai aarzū tire āstāñ kī talāsh hai
na talab hai naġhma-e-dair kī na mujhe azaañ kī talāsh hai
jo diloñ kī aag ko chheḌ de mujhe us fuġhāñ kī talāsh hai
pas-e-parda ho chukī guftugū kabhī sāmne bhī to aao tum
maiñ zamīñ ko le ke karūñgā kyā mujhe āsmāñ kī talāsh hai
tirā jalva merī sharāb hai mirī sajda-gah tirā āstāñ
na talab mujhe mai-o-jām kī na dar-e-muġhāñ kī talāsh hai
mujhe nāḳhudā se ġharaz nahīñ mujhe ḳhauf-e-mauj-e-ravāñ nahīñ
jo lagā de kashti-e-dil ko paar usī bādbāñ kī talāsh hai
kabhī uTh ke sho.ala-e-dil dikhā tū hī is ġharīb ko rāsta
ki añdherī raat meñ barq ko mire āshiyāñ kī talāsh hai
jo atā ho daulat-e-do-jahāñ to kabhī qubūl na maiñ karūñ
mile dard-e-ishq tirā mujhe usī armuġhāñ kī talāsh hai
huā jal ke ḳhaak jo āshiyāñ to ye ḳhaak rah ke karegī kyā
ġham-e-ārzī hai azāb-e-jāñ ġham-e-jāvedāñ kī talāsh hai
tirī jo ġhazal hai vo ai 'valī' hai ḳhazāna fikr-e-buland kā
na muhāvare kī hai justujū na tujhe zabāñ kī talāsh hai
na haram ki hai mujhe justuju na dar-e-butan ki talash hai
tere naqsh-e-pa ki hai aarzu tere aastan ki talash hai
na talab hai naghma-e-dair ki na mujhe azan ki talash hai
jo dilon ki aag ko chheD de mujhe us fughan ki talash hai
pas-e-parda ho chuki guftugu kabhi samne bhi to aao tum
main zamin ko le ke karunga kya mujhe aasman ki talash hai
tera jalwa meri sharab hai meri sajda-gah tera aastan
na talab mujhe mai-o-jam ki na dar-e-mughan ki talash hai
mujhe naKHuda se gharaz nahin mujhe KHauf-e-mauj-e-rawan nahin
jo laga de kashti-e-dil ko par usi baadban ki talash hai
kabhi uTh ke shoala-e-dil dikha tu hi is gharib ko rasta
ki andheri raat mein barq ko mere aashiyan ki talash hai
jo ata ho daulat-e-do-jahan to kabhi qubul na main karun
mile dard-e-ishq tera mujhe usi armughan ki talash hai
hua jal ke KHak jo aashiyan to ye KHak rah ke karegi kya
gham-e-arzi hai azab-e-jaan gham-e-jawedan ki talash hai
teri jo ghazal hai wo ai 'wali' hai KHazana fikr-e-buland ka
na muhaware ki hai justuju na tujhe zaban ki talash hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.