na haram ki mujhko hai justuju na to rahguzar ki talash hai
na haram ki mujhko hai justuju na to rahguzar ki talash hai
Ehsan Akhtar Ghazipuri
MORE BYEhsan Akhtar Ghazipuri
na haram kī mujh ko hai justujū na to rahguzar kī talāsh hai
jahāñ sar jhukā ke mile sukūñ usī sang-e-dar kī talāsh hai
mujhe bhejnā hai payām-e-dil magar ek shart bhī hai mirī
jo ye raaz raaz hī rakh sake usī nāma-bar kī talāsh hai
jo tū ban sake mirā aasrā to ye hogā mujh pe karam tirā
mujhe shāh-rāh-e-hayāt meñ kisī ham-safar kī talāsh hai
mile aisā bāda-e-sarḳhushī jo na ḳhatm ho kabhī be-ḳhudī
jo sañvār de merī zindagī usī ik nazar kī talāsh hai
yahī zindagī kī adā bhī hai mirī kā.enāt-e-vafā bhī hai
tire ġham pe naaz hai is liye ki ye umr bhar kī talāsh hai
na davā duā se ġharaz mujhe na to jām-o-mai kī talab mujhe
jo ilāj-e-dard-e-jigar kare usī chārāgar kī talāsh hai
koī kah de 'aḳhtar'-e-nā-tavāñ ki qafas meñ hai mirā āshiyāñ
jo chamak rahī haiñ ye bijliyāñ unheñ mere ghar kī talāsh hai
na haram ki mujh ko hai justuju na to rahguzar ki talash hai
jahan sar jhuka ke mile sukun usi sang-e-dar ki talash hai
mujhe bhejna hai payam-e-dil magar ek shart bhi hai meri
jo ye raaz raaz hi rakh sake usi nama-bar ki talash hai
jo tu ban sake mera aasra to ye hoga mujh pe karam tera
mujhe shah-rah-e-hayat mein kisi ham-safar ki talash hai
mile aisa baada-e-sarKHushi jo na KHatm ho kabhi be-KHudi
jo sanwar de meri zindagi usi ek nazar ki talash hai
yahi zindagi ki ada bhi hai meri kaenat-e-wafa bhi hai
tere gham pe naz hai is liye ki ye umr bhar ki talash hai
na dawa dua se gharaz mujhe na to jam-o-mai ki talab mujhe
jo ilaj-e-dard-e-jigar kare usi chaaragar ki talash hai
koi kah de 'aKHtar'-e-na-tawan ki qafas mein hai mera aashiyan
jo chamak rahi hain ye bijliyan unhen mere ghar ki talash hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.