na ho azab to koi agar sawab na ho
na ho azaab to koī agar savāb na ho
sharāb piine se īmān to ḳharāb na ho
ḳhudā ko bhūle hoñ aur dil meñ iztirāb na ho
to kyā ho aise meñ nāzil agar itaab na ho
kahīñ haqīqat-e-ahvāl misl-e-ḳhvāb na ho
vo rū-ba-rū ho magar dekhne kī taab na ho
aqīdateñ bhī diloñ se nikal hī jaatī haiñ
ye aur baat ki sajdoñ se ijtināb na ho
na jaane aur abhī kyā vo gul khilā.egā
abhī se us ke savāloñ ke lā-javāb na ho
ḳhudā kare ki mire ba.ad tā-abad mujh sā
asīr-e-zā.iqa-e-lazzat-e-sharāb na ho
ye dilbarī ke taqāzoñ ke bhī munāfī hai
ki yaar sāmne ho aur be-hijāb na ho
sulūk-e-ishq meñ be-faiz haiñ vo lab jin se
husūl-e-lazza-e-shīrīnī-e-luāb na ho
girāñ hai tab.a pe kyoñ jām-o-bāda ai 'gulfām'
shabāb kaisā agar garmī-e-shabāb na ho
na ho azab to koi agar sawab na ho
sharab pine se iman to KHarab na ho
KHuda ko bhule hon aur dil mein iztirab na ho
to kya ho aise mein nazil agar itab na ho
kahin haqiqat-e-ahwal misl-e-KHwab na ho
wo ru-ba-ru ho magar dekhne ki tab na ho
aqidaten bhi dilon se nikal hi jati hain
ye aur baat ki sajdon se ijtinab na ho
na jaane aur abhi kya wo gul khilaega
abhi se us ke sawalon ke la-jawab na ho
KHuda kare ki mere baad ta-abad mujh sa
asir-e-zaiqa-e-lazzat-e-sharab na ho
ye dilbari ke taqazon ke bhi munafi hai
ki yar samne ho aur be-hijab na ho
suluk-e-ishq mein be-faiz hain wo lab jin se
husul-e-lazza-e-shirini-e-luab na ho
giran hai taba pe kyon jam-o-baada ai 'gulfam'
shabab kaisa agar garmi-e-shabab na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.