na ho eajaz kyon husn-e-bayan mein
na ho e.ajāz kyoñ husn-e-bayāñ meñ
tumhīñ tum ho hamārī dāstāñ meñ
chaman meñ dasht meñ kū-e-butāñ meñ
mirī vahshat huī rusvā jahāñ meñ
sabab merī taḌap kā kuchh na pūchho
ki ik nashtar hai yād-e-raftagāñ meñ
ye jiinā bhī koī jiinā hai apnā
qafas meñ ham haiñ dil hai āshiyāñ meñ
kahīñ bijlī kahīñ hai ātish-e-gul
charāġhāñ kā samāñ hai gulsitāñ meñ
jo tum chāho tabassum se badal do
abhī hai itnī gunjā.ish fuġhāñ meñ
hayāt-e-ishq kā hāsil hai goyā
jo harf-e-ġham hai merī dāstāñ meñ
tire naġhmoñ kā jaadū allah allāh
ki gul khilne lage fasl-e-ḳhizāñ meñ
sukūn un kā hai mere zabt-e-ġham se
baḌī tāsīr hai varna fuġhāñ meñ
ta.ajjub hai ki ik do rahnumā bhī
nahīñ is kārvāñ dar kārvāñ meñ
zamīñ ke ho ga.e paivand lākhoñ
havā-e-māvrā-e-āsmāñ meñ
ajīran ho ga.ī umr-e-do-roza
tamanna-e-hayāt-e-jāvedāñ meñ
sunāo āp-bītī ai 'sa.ādat'
dharā kyā hai hadīs-e-dīgarāñ meñ
na ho eajaz kyon husn-e-bayan mein
tumhin tum ho hamari dastan mein
chaman mein dasht mein ku-e-butan mein
meri wahshat hui ruswa jahan mein
sabab meri taDap ka kuchh na puchho
ki ek nashtar hai yaad-e-raftagan mein
ye jina bhi koi jina hai apna
qafas mein hum hain dil hai aashiyan mein
kahin bijli kahin hai aatish-e-gul
charaghan ka saman hai gulsitan mein
jo tum chaho tabassum se badal do
abhi hai itni gunjaish fughan mein
hayat-e-ishq ka hasil hai goya
jo harf-e-gham hai meri dastan mein
tere naghmon ka jadu allah allah
ki gul khilne lage fasl-e-KHizan mein
sukun un ka hai mere zabt-e-gham se
baDi tasir hai warna fughan mein
tajjub hai ki ek do rahnuma bhi
nahin is karwan dar karwan mein
zamin ke ho gae paiwand lakhon
hawa-e-mawra-e-asman mein
ajiran ho gai umr-e-do-roza
tamanna-e-hayat-e-jawedan mein
sunao aap-biti ai 'saadat'
dhara kya hai hadis-e-digaran mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.