na ho gar dhyan mein chehra kisi ka
na ho gar dhyān meñ chehra kisī kā
bahut mushkil safar hai zindagī kā
galī-kūche bahut raushan haiñ lekin
gharoñ meñ mas.ala hai raushnī kā
chunūñ palkoñ se kab tak sañg-reze
ḳhudāvandā koī aañsū ḳhushī kā
zamīñ sadiyoñ purānī ho chukī hai
sahegī bojh kab tak aadmī kā
na-jāne aur kitnā fāsla hai
hamārī zindagī se zindagī kā
koī ḳhud se mujhe kamtar samajh le
ye matlab bhī nahīñ hai ājizī kā
talab ne chhīn lī bīnā.ī ḳhāvar
karūñ kyā raah kī maiñ raushnī kā
na ho gar dhyan mein chehra kisi ka
bahut mushkil safar hai zindagi ka
gali-kuche bahut raushan hain lekin
gharon mein masala hai raushni ka
chunun palkon se kab tak sang-reze
KHudawanda koi aansu KHushi ka
zamin sadiyon purani ho chuki hai
sahegi bojh kab tak aadmi ka
na-jaane aur kitna fasla hai
hamari zindagi se zindagi ka
koi KHud se mujhe kamtar samajh le
ye matlab bhi nahin hai aajizi ka
talab ne chhin li binai KHawar
karun kya rah ki main raushni ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.