na ho shabab to kaifiyyat-e-sharab kahan
na ho shabāb to kaifiyyat-e-sharāb kahāñ
na ho shabāb to kaifiyyat-e-shabāb kahāñ
chalā huuñ ka.abe ko lekin chalā nahīñ jaatā
na ho jo shauq hī dil meñ to iztirāb kahāñ
adū kī bazm meñ dushman hazār baiThe haiñ
milā bhī haa.e vo kāfir to be-hijāb kahāñ
kisī tarah shab-e-ġham kī sahar nahīñ hotī
ḳhudā hī jaane ki Duubā hai āftāb kahāñ
haram meñ baiThe ho 'mā.il' ḳhudā ḳhudā kiije
yahāñ vo sāqi-e-mehvash kahāñ sharāb kahāñ
na ho shabab to kaifiyyat-e-sharab kahan
na ho shabab to kaifiyyat-e-shabab kahan
chala hun kabe ko lekin chala nahin jata
na ho jo shauq hi dil mein to iztirab kahan
adu ki bazm mein dushman hazar baiThe hain
mila bhi hae wo kafir to be-hijab kahan
kisi tarah shab-e-gham ki sahar nahin hoti
KHuda hi jaane ki Duba hai aaftab kahan
haram mein baiThe ho 'mail' KHuda KHuda kije
yahan wo saqi-e-mehwash kahan sharab kahan
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 237)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.