na hota dahr se jo be-niyaz kya karta
na hotā dahr se jo be-niyāz kyā kartā
khulā thā mujh pe kuchh aisā hī raaz kyā kartā
marīz kashmakash-e-jabr-o-iḳhtiyār meñ thā
ilāj-e-jazb-o-kashish chāra-sāz kyā kartā
tire karam ne to duniyā hī sauñp dī thī mujhe
bachā ke kuchh na rakhā hirs-o-āz kyā kartā
bigaḌ gayā mirā huliya to barhamī kaisī
the rahguzar meñ nasheb-o-farāz kyā kartā
mujhe ḳhabar thī ki maiñ bhī tire sabab se huuñ
phir apnī zaat pe maiñ faḳhr-o-nāz kyā kartā
tamām umr rahe pahre-dār kāñdhoñ par
tire ḳhilāf ai 'anjum'-navāz kyā kartā
na hota dahr se jo be-niyaz kya karta
khula tha mujh pe kuchh aisa hi raaz kya karta
mariz kashmakash-e-jabr-o-iKHtiyar mein tha
ilaj-e-jazb-o-kashish chaara-saz kya karta
tere karam ne to duniya hi saunp di thi mujhe
bacha ke kuchh na rakha hirs-o-az kya karta
bigaD gaya mera huliya to barhami kaisi
the rahguzar mein nasheb-o-faraaz kya karta
mujhe KHabar thi ki main bhi tere sabab se hun
phir apni zat pe main faKHr-o-naz kya karta
tamam umr rahe pahre-dar kandhon par
tere KHilaf ai 'anjum'-nawaz kya karta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.