na hua nasib qarar-e-jaan hawas-e-qarar bhi ab nahin
na huā nasīb qarār-e-jāñ havas-e-qarār bhī ab nahīñ
tirā intizār bahut kiyā tirā intizār bhī ab nahīñ
tujhe kyā ḳhabar mah-o-sāl ne hameñ kaise zaḳhm diye yahāñ
tirī yādgār thī ik ḳhalish tirī yādgār bhī ab nahīñ
na gile rahe na gumāñ rahe na guzārisheñ haiñ na guftugū
vo nishāt-e-vāda-e-vasl kyā hameñ e’tibār bhī ab nahīñ
rahe nām-e-rishta-e-raftgāñ na shikāyateñ haiñ na shoḳhiyāñ
koī 'uzr-ḳhvāh to ab kahāñ koī uzr-dār bhī ab nahīñ
kise nazr deñ dil-o-jāñ baham ki nahīñ vo kākul-e-ḳham-ba-ḳham
kise har-nafas kā hisāb deñ ki shamīm-e-yār bhī ab nahīñ
vo hujūm-e-dil-zadagāñ ki thā tujhe muzhda ho ki bikhar gayā
tire āstāne kī ḳhair ho sar-e-rah-e-ġhubār bhī ab nahīñ
vo jo apnī jaañ se guzar ga.e unheñ kyā ḳhabar hai ki shahr meñ
kisī jāñ-nisār kā zikr kyā koī sogvār bhī ab nahīñ
nahīñ ab to ahl-e-junūñ meñ bhī vo jo shauq-e-shahr meñ 'aam thā
vo jo rang thā kabhī kū-ba-kū sar-e-kū-e-yār bhī ab nahīñ
na hua nasib qarar-e-jaan hawas-e-qarar bhi ab nahin
tera intizar bahut kiya tera intizar bhi ab nahin
tujhe kya KHabar mah-o-sal ne hamein kaise zaKHm diye yahan
teri yaadgar thi ek KHalish teri yaadgar bhi ab nahin
na gile rahe na guman rahe na guzarishen hain na guftugu
wo nishat-e-wada-e-wasl kya hamein e’tibar bhi ab nahin
rahe nam-e-rishta-e-raftgan na shikayaten hain na shoKHiyan
koi 'uzr-KHwah to ab kahan koi uzr-dar bhi ab nahin
kise nazr den dil-o-jaan baham ki nahin wo kakul-e-KHam-ba-KHam
kise har-nafas ka hisab den ki shamim-e-yar bhi ab nahin
wo hujum-e-dil-zadagan ki tha tujhe muzhda ho ki bikhar gaya
tere aastane ki KHair ho sar-e-rah-e-ghubar bhi ab nahin
wo jo apni jaan se guzar gae unhen kya KHabar hai ki shahr mein
kisi jaan-nisar ka zikr kya koi sogwar bhi ab nahin
nahin ab to ahl-e-junun mein bhi wo jo shauq-e-shahr mein 'am tha
wo jo rang tha kabhi ku-ba-ku sar-e-ku-e-yar bhi ab nahin
- Shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.