na intishaar ka KHatra na inhidam ka hai
na intishār kā ḳhatra na inhidām kā hai
ye marhala to tabāhī ke iḳhtitām kā hai
jo ḳhatm ho gayā rishta vo dostī kā thā
jo bach gayā hai ta.alluq vo intiqām kā hai
har ek lamha ajab ḳhauf be-panāhī kā
hamāre ahd meñ ye rañg sub.h-o-shām kā hai
bachā.eñ kis tarah balvā.iyoñ se bastī ko
muhāfizoñ kā irāda bhī qatl-e-ām kā hai
ye buzdilī hai ki bote haiñ phuul un ke liye
vo jin ke haath meñ ḳhanjar hamāre naam kā hai
safar hai dasht kā aur raat ho ga.ī aalam
hamāre sāmne ab mas.ala qayām kā hai
na intishaar ka KHatra na inhidam ka hai
ye marhala to tabahi ke iKHtitam ka hai
jo KHatm ho gaya rishta wo dosti ka tha
jo bach gaya hai talluq wo intiqam ka hai
har ek lamha ajab KHauf be-panahi ka
hamare ahd mein ye rang subh-o-sham ka hai
bachaen kis tarah balwaiyon se basti ko
muhafizon ka irada bhi qatl-e-am ka hai
ye buzdili hai ki bote hain phul un ke liye
wo jin ke hath mein KHanjar hamare nam ka hai
safar hai dasht ka aur raat ho gai aalam
hamare samne ab masala qayam ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.