na intizar mein yan aankh ek aan lagi
na intizār meñ yaañ aañkh ek aan lagī
na haa.e haa.e meñ taalū se shab zabān lagī
jalā jigar tap-e-ġham se phaḌakne jaan lagī
ilāhī ḳhair ki ab aag paas aan lagī
galī meñ us kī na phir aate ham to kyā karte
tabī.at apnī na jannat ke darmiyān lagī
jafā-e-ġhair kā shikva thā terā thā kyā zikr
abas ye baat burī tujh ko bad-gumān lagī
hañso na tum to mire haal par maiñ huuñ vo zalīl
ki jis kī zillat-o-ḳhvārī se tum ko shaan lagī
kahāñ vo āh-o-fuġhāñ dam bhī le nahīñ sakte
hameñ ye terī duā-e-bad āsmān lagī
maiñ aur us ko bulā.ūñgā roz-e-vasl meñ lo
ajal bhī karne mohabbat kā imtihān lagī
ba-rañg-e-sūrat-e-bulbul nahīñ navā-sanjī
ye kyā huā ki chup ai gulsitāñ bayān lagī
sadā tumhārī taraf jī lagā hī rahtā hai
tumhāre vāste hai dil ko mehrbān lagī
vo kīna-tūz thā 'momin' to dil lagāyā kyuuñ
kaho to kyā tumheñ aisī bhalī vo aan lagī
na intizar mein yan aankh ek aan lagi
na hae hae mein talu se shab zaban lagi
jala jigar tap-e-gham se phaDakne jaan lagi
ilahi KHair ki ab aag pas aan lagi
gali mein us ki na phir aate hum to kya karte
tabiat apni na jannat ke darmiyan lagi
jafa-e-ghair ka shikwa tha tera tha kya zikr
abas ye baat buri tujh ko bad-guman lagi
hanso na tum to mere haal par main hun wo zalil
ki jis ki zillat-o-KHwari se tum ko shan lagi
kahan wo aah-o-fughan dam bhi le nahin sakte
hamein ye teri dua-e-bad aasman lagi
main aur us ko bulaunga roz-e-wasl mein lo
ajal bhi karne mohabbat ka imtihan lagi
ba-rang-e-surat-e-bulbul nahin nawa-sanji
ye kya hua ki chup ai gulsitan bayan lagi
sada tumhaari taraf ji laga hi rahta hai
tumhaare waste hai dil ko mehrban lagi
wo kina-tuz tha 'momin' to dil lagaya kyun
kaho to kya tumhein aisi bhali wo aan lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.