na itna kije talabgar kaun aap ka hai
na itnā kiije talabgār kaun aap kā hai
ye ġhair hai to yahāñ yaar kaun aap kā hai
na naaz kījiye vārasta-ḳhātiroñ ke saath
kidhar haiñ aap ḳharīdār kaun aap kā hai
masīhā apnā hai ik aur hī lab-e-jāñ-baḳhsh
ḳhudā ke fazl se bīmār kaun aap kā hai
ham apnī be-gunahī ko gunāh kahte the
bigaḌ ga.e ye gunahgār kaun aap kā hai
tasavvur aur hī badmast kā hai 'lutf' ko ab
na aap bahkiye sarshār kaun aap kā hai
na itna kije talabgar kaun aap ka hai
ye ghair hai to yahan yar kaun aap ka hai
na naz kijiye warasta-KHatiron ke sath
kidhar hain aap KHaridar kaun aap ka hai
masiha apna hai ek aur hi lab-e-jaan-baKHsh
KHuda ke fazl se bimar kaun aap ka hai
hum apni be-gunahi ko gunah kahte the
bigaD gae ye gunahgar kaun aap ka hai
tasawwur aur hi badmast ka hai 'lutf' ko ab
na aap bahkiye sarshaar kaun aap ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.