na jaane kab badal jae muqaddar dekh lete hain
na jaane kab badal jaa.e muqaddar dekh lete haiñ
tujhe ai zindagī chal aazmā kar dekh lete haiñ
'azāboñ se guzar kar ye hunar utrā hai āñkhoñ meñ
ki ham qatre meñ bhī pinhāñ samundar dekh lete haiñ
mire bachche khilaunoñ ke liye bhī zid nahīñ karte
kahāñ tak paañv phailāne haiñ chādar dekh lete haiñ
zamīñ kam hai hamāre ḳhvāb kī vus'at ziyāda hai
chalo phir ḳhvāb kā naqsha badal kar dekh lete haiñ
ye ham par dostoñ kī mehrbānī hai ki ab ham bhī
chhupe haiñ āstīnoñ meñ jo ḳhanjar dekh lete haiñ
ye lāzim to nahīñ mīnār se sab kuchh dikhā.ī de
vahāñ se jo nahīñ dikhtā qalandar dekh lete haiñ
abhī tak yaad haiñ in ko sitam zill-e-ilāhī ke
inheñ be-jān mat kahnā ye patthar dekh lete haiñ
bahut pyāse hoñ ye phir bhī har ik chhat par nahīñ jaate
kahāñ bartan meñ paanī hai kabūtar dekh lete haiñ
na jaane kab badal jae muqaddar dekh lete hain
tujhe ai zindagi chal aazma kar dekh lete hain
'azabon se guzar kar ye hunar utra hai aankhon mein
ki hum qatre mein bhi pinhan samundar dekh lete hain
mere bachche khilaunon ke liye bhi zid nahin karte
kahan tak panw phailane hain chadar dekh lete hain
zamin kam hai hamare KHwab ki wus'at ziyaada hai
chalo phir KHwab ka naqsha badal kar dekh lete hain
ye hum par doston ki mehrbani hai ki ab hum bhi
chhupe hain aastinon mein jo KHanjar dekh lete hain
ye lazim to nahin minar se sab kuchh dikhai de
wahan se jo nahin dikhta qalandar dekh lete hain
abhi tak yaad hain in ko sitam zill-e-ilahi ke
inhen be-jaan mat kahna ye patthar dekh lete hain
bahut pyase hon ye phir bhi har ek chhat par nahin jate
kahan bartan mein pani hai kabutar dekh lete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.