na jaane kaisi aandhi chal rahi hai
na jaane kaisī āñdhī chal rahī hai
hai jañgal ḳhush ki bastī jal rahī hai
kahīñ paanī se dhokā khā na jaanā
ye naddī muddatoñ daldal rahī hai
tirā sūraj bhī ThanDā ho rahā hai
hamārī umr bhī ab Dhal rahī hai
koī shikva nahīñ ham ko kisī se
ḳhud apnī zaat ham ko chhal rahī hai
hameñ barbād kar ke ḳhush bahut thī
magar ab haath duniyā mal rahī hai
tumhāre lafz sho.ale kyuuñ hue haiñ
ġhazal lagtā hai jaise jal rahī hai
na jaane kaisi aandhi chal rahi hai
hai jangal KHush ki basti jal rahi hai
kahin pani se dhoka kha na jaana
ye naddi muddaton daldal rahi hai
tera suraj bhi ThanDa ho raha hai
hamari umr bhi ab Dhal rahi hai
koi shikwa nahin hum ko kisi se
KHud apni zat hum ko chhal rahi hai
hamein barbaad kar ke KHush bahut thi
magar ab hath duniya mal rahi hai
tumhaare lafz shoale kyun hue hain
ghazal lagta hai jaise jal rahi hai
- Book : Muhaz Par mein (Poetry) (Pg. 128)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.