na-jaane kaun tere kaKH-o-ku mein aaega
na-jāne kaun tire kāḳh-o-kū meñ aa.egā
jo aa.egā vo mirī aarzū meñ aa.egā
maiñ jāntā huuñ mire ba.ad mere marqad par
koī ġhubār mirī justujū meñ aa.egā
yahī to soch ke jalte haiñ masjidoñ ke charāġh
darūn-e-shab yahāñ koī vazū meñ aa.egā
tire ḳhayāl kī lau se chamak uThe haiñ hurūf
abhī to tū mire harf-e-numū meñ aa.egā
mujhe ḳhudā se zarā ham-kalām hone do
tumhārā zikr bhī is guftugū meñ aa.egā
na-jaane kaun tere kaKH-o-ku mein aaega
jo aaega wo meri aarzu mein aaega
main jaanta hun mere baad mere marqad par
koi ghubar meri justuju mein aaega
yahi to soch ke jalte hain masjidon ke charagh
darun-e-shab yahan koi wazu mein aaega
tere KHayal ki lau se chamak uThe hain huruf
abhi to tu mere harf-e-numu mein aaega
mujhe KHuda se zara ham-kalam hone do
tumhaara zikr bhi is guftugu mein aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.