na jab dekhi gai meri taDap meri pareshani
na jab dekhī ga.ī merī taḌap merī pareshānī
pakaḌ kar un ko jhoñTe khīñch laayā shauq-e-uryānī
libās ījād kar aisā koī ai aql-e-insānī
ki tan-poshī kī tan-poshī ho uryānī kī uryānī
ma.āz-allāh vo kāfir-adā kā husn-e-pinhānī
ki ab ḳhatre meñ hai har ik musalmāñ kī musalmānī
batā detī hai baḌh kar un ke jalvoñ kī farāvānī
ki ghar se be-hijābāna nikal aa.ī hai muġhlānī
ma.āz-allāh janāb-e-shaiḳh kā ye josh-e-īmānī
samajhte haiñ butoñ ke hukm ko āyāt-e-qur.ānī
jise dekho rakhe hai sar pe apne tāj-e-sultānī
hañsī ThaTThā samajh rakkhā hai har ik ne jahāñbānī
tamannā.eñ mirī pāmāl yuuñ kartā hai vo zālim
kisī mauza.a meñ jaise khet jote koī dahqānī
har ik kī ḳhātireñ hasb-e-marātib hoñgī dozaḳh meñ
vo nāseh hoñ ki zāhid hoñ ki mullā hoñ ki mullānī
ḳhudā mahfūz rakkhe fitrat-e-insāñ se aalam meñ
muaddab ho ke kahtā hai jise shaitāñ bhī ustānī
sadā hirs-o-havas se duur rahnā chāhiye hamdam
ye donoñ haiñ baḌī fitna jeThānī hoñ ki devrānī
ba-qadr-e-zauq takmīl-e-tamannā 'shauq' kyā hotī
ki ham ne aurteñ pā.īñ kabhī andhī kabhī kaanī
haiñ yaksāñ zāhid-e-kam-aql hoñ yā nāseh-e-nādāñ
khilaune sab barābar haiñ vo chīnī hoñ ki jāpānī
vo nāseh hoñ ki vaa.iz hoñ ki qaa.id hoñ ki rahbar hoñ
inhīñ logoñ se phailī hai jahāñ meñ nasl-e-insānī
jafā.eñ ham pe hotī haiñ karam ġhairoñ pe hotā hai
yahāñ girte haiñ ole aur vahāñ barsāte haiñ paanī
mujhe barbād kar ke dost pachhtāne se kyā hāsil
churā kaare kunad aaqil ki baaz aabid pashemānī
zarā hushiyār rahnā rahbaro is hirs-e-duniyā se
na luḌhkā de tumheñ dozaḳh meñ ye shaitān kī naanī
na jab dekhi gai meri taDap meri pareshani
pakaD kar un ko jhonTe khinch laya shauq-e-uryani
libas ijad kar aisa koi ai aql-e-insani
ki tan-poshi ki tan-poshi ho uryani ki uryani
maaz-allah wo kafir-ada ka husn-e-pinhani
ki ab KHatre mein hai har ek musalman ki musalmani
bata deti hai baDh kar un ke jalwon ki farawani
ki ghar se be-hijabana nikal aai hai mughlani
maaz-allah janab-e-shaiKH ka ye josh-e-imani
samajhte hain buton ke hukm ko aayat-e-qurani
jise dekho rakhe hai sar pe apne taj-e-sultani
hansi ThaTTha samajh rakkha hai har ek ne jahanbani
tamannaen meri pamal yun karta hai wo zalim
kisi mauza mein jaise khet jote koi dahqani
har ek ki KHatiren hasb-e-maraatib hongi dozaKH mein
wo naseh hon ki zahid hon ki mulla hon ki mullani
KHuda mahfuz rakkhe fitrat-e-insan se aalam mein
muaddab ho ke kahta hai jise shaitan bhi ustani
sada hirs-o-hawas se dur rahna chahiye hamdam
ye donon hain baDi fitna jeThani hon ki dewrani
ba-qadr-e-zauq takmil-e-tamanna 'shauq' kya hoti
ki hum ne aurten pain kabhi andhi kabhi kani
hain yaksan zahid-e-kam-aql hon ya naseh-e-nadan
khilaune sab barabar hain wo chini hon ki japani
wo naseh hon ki waiz hon ki qaid hon ki rahbar hon
inhin logon se phaili hai jahan mein nasl-e-insani
jafaen hum pe hoti hain karam ghairon pe hota hai
yahan girte hain ole aur wahan barsate hain pani
mujhe barbaad kar ke dost pachhtane se kya hasil
chura kare kunad aaqil ki baz aabid pashemani
zara hushiyar rahna rahbaro is hirs-e-duniya se
na luDhka de tumhein dozaKH mein ye shaitan ki nani
- Book : intekhab-e-kalam shauq bahraichi (Pg. 98)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.