na ji bhar ke dekha na kuchh baat ki
na jī bhar ke dekhā na kuchh baat kī
baḌī aarzū thī mulāqāt kī
ujāloñ kī pariyāñ nahāne lagīñ
nadī gungunā.ī ḳhayālāt kī
maiñ chup thā to chaltī havā ruk ga.ī
zabāñ sab samajhte haiñ jazbāt kī
muqaddar mirī chashm-e-pur-āb kā
barastī huī raat barsāt kī
ka.ī saal se kuchh ḳhabar hī nahīñ
kahāñ din guzārā kahāñ raat kī
na ji bhar ke dekha na kuchh baat ki
baDi aarzu thi mulaqat ki
ujalon ki pariyan nahane lagin
nadi gungunai KHayalat ki
main chup tha to chalti hawa ruk gai
zaban sab samajhte hain jazbaat ki
muqaddar meri chashm-e-pur-ab ka
barasti hui raat barsat ki
kai sal se kuchh KHabar hi nahin
kahan din guzara kahan raat ki
- Book : Aasman (Pg. 75)
- Author : Bashir Badar
- Publication : M.R Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.