na jism sath hamare na jaan hamari taraf
na jism saath hamāre na jaañ hamārī taraf
hai kuchh bhī ham meñ hamārā kahāñ hamārī taraf
khaḌe haiñ pyāse anā ke isī bharose par
ki chal ke aa.egā ik din kuaañ hamārī taraf
bichhaḌte vaqt vo taqsīm kar gayā mausam
bahār us kī taraf hai ḳhizāñ hamārī taraf
isī umiid pe kirdār ham nibhāte rahe
ki ruḳh karegī kabhī dāstāñ hamārī taraf
kahāñ kahāñ na chhupe bastiyāñ jalā ke magar
jahāñ jahāñ ga.e aayā dhuāñ hamārī taraf
lagā ke jaan kī baazī jise bachāyā thā
khiñchī huī hai usī kī kamāñ hamārī taraf
uchhāl dete haiñ patthar ḳhalā meñ ham jo kabhī
palaT ke dekhtā hai āsmāñ hamārī taraf
na jism sath hamare na jaan hamari taraf
hai kuchh bhi hum mein hamara kahan hamari taraf
khaDe hain pyase ana ke isi bharose par
ki chal ke aaega ek din kuan hamari taraf
bichhaDte waqt wo taqsim kar gaya mausam
bahaar us ki taraf hai KHizan hamari taraf
isi umid pe kirdar hum nibhate rahe
ki ruKH karegi kabhi dastan hamari taraf
kahan kahan na chhupe bastiyan jala ke magar
jahan jahan gae aaya dhuan hamari taraf
laga ke jaan ki bazi jise bachaya tha
khinchi hui hai usi ki kaman hamari taraf
uchhaal dete hain patthar KHala mein hum jo kabhi
palaT ke dekhta hai aasman hamari taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.