na kabe mein na but-KHane mein dekha
na ka.abe meñ na but-ḳhāne meñ dekhā
samāñ jo dil ke kāshāne meñ dekhā
hameñ vahdat se kasrat haiñ ye jaanā
jo jā kar ā.ina-ḳhāne meñ dekhā
jo jalva dasht-e-dil ke zarre meñ hai
na māmūre na vīrāne meñ dekhā
kare vo gul use yā us ko vo ḳhaak
ye kiina sham.a parvāne meñ dekhā
na kabe mein na but-KHane mein dekha
saman jo dil ke kashane mein dekha
hamein wahdat se kasrat hain ye jaana
jo ja kar aaina-KHane mein dekha
jo jalwa dasht-e-dil ke zarre mein hai
na mamure na virane mein dekha
kare wo gul use ya us ko wo KHak
ye kina shama parwane mein dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.