na kaam aai agar aagahi to kya hoga
na kaam aa.ī agar āgahī to kyā hogā
badal sakī na agar zindagī to kyā hogā
na chheḌ bād-e-sabā is qadar na chheḌ use
hañsī hañsī meñ kalī ro paḌī to kyā hogā
ḳhirad ke saare masā.il dhare na rah jaa.eñ
jo zid junūñ ko kahīñ aa ga.ī to kyā hogā
anā-parast na ban zindagī tabāh na kar
jo ghar se tere baġhāvat uThī to kyā hogā
sadā purāne ta.alluq sañbhāl kar rakkho
ye māl-o-zar bhī na deñge ḳhushī to kyā hogā
na kaam aai agar aagahi to kya hoga
badal saki na agar zindagi to kya hoga
na chheD baad-e-saba is qadar na chheD use
hansi hansi mein kali ro paDi to kya hoga
KHirad ke sare masail dhare na rah jaen
jo zid junun ko kahin aa gai to kya hoga
ana-parast na ban zindagi tabah na kar
jo ghar se tere baghawat uThi to kya hoga
sada purane talluq sanbhaal kar rakkho
ye mal-o-zar bhi na denge KHushi to kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.