na kah haq mein buzurgon ki kaDi baat
na kah haq meñ buzurgoñ kī kaḌī baat
kaheñge log chhoTā muñh baḌī baat
kahe ik baat phūle sau shagūfe
sharīroñ ne banā.ī phuljhaḌī baat
matānat hai bahut kam boltī meñ
ḳhamoshī dopahar ho do-ghaḌī baat
mujhe bhātā hai halkānā tumhārā
dahan-gul kī kalī hai gul-jhaḌī baat
bañdhe mazmūn par kholo na muñh 'bahr'
mazā detī nahīñ kānoñ paḌī baat
na kah haq mein buzurgon ki kaDi baat
kahenge log chhoTa munh baDi baat
kahe ek baat phule sau shagufe
shariron ne banai phuljhaDi baat
matanat hai bahut kam bolti mein
KHamoshi dopahar ho do-ghaDi baat
mujhe bhata hai halkana tumhaara
dahan-gul ki kali hai gul-jhaDi baat
bandhe mazmun par kholo na munh 'bahr'
maza deti nahin kanon paDi baat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.