na kaho tum bhi kuchh na hum bolen
na kaho tum bhī kuchh na ham boleñ
aao ḳhāmoshiyoñ ke lab kholeñ
bastiyāñ ham ḳhud hī jalā aa.e
kisī bargad ke saa.e meñ so leñ
kuchh na.e rañg sāmne aa.eñ
aa ka.ī rañg saath meñ gholeñ
zard manzar ajiib sannāTe
khiḌkiyāñ kyuuñ gharoñ kī ham kholeñ
rāste sahl haiñ magar 'tābish'
kaun hai saath jis ke ham ho leñ
na kaho tum bhi kuchh na hum bolen
aao KHamoshiyon ke lab kholen
bastiyan hum KHud hi jala aae
kisi bargad ke sae mein so len
kuchh nae rang samne aaen
aa kai rang sath mein gholen
zard manzar ajib sannaTe
khiDkiyan kyun gharon ki hum kholen
raste sahl hain magar 'tabish'
kaun hai sath jis ke hum ho len
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.