Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na kar pae dushman bhi jo dushmani mein

Om Prakash Laghar

na kar pae dushman bhi jo dushmani mein

Om Prakash Laghar

MORE BYOm Prakash Laghar

    na kar paa.e dushman bhī jo dushmanī meñ

    kiyā hai rafīqoñ ne vo dostī meñ

    buzurgoñ se paayā hai ye raaz ham ne

    hai jiine lazzat faqat sādgī meñ

    'abas hai 'ibādat 'abas is taqvā

    agar ādmiyyat nahīñ aadmī meñ

    falak tak agar gayā bhī to kyā hai

    bahut fāsla hai abhī āgahī meñ

    zamāne ko ab koī kaise batā.e

    baḌī tīrgī hai na.ī raushnī meñ

    bahādur marā ek baar 'lāġhar'

    ka.ī baar buzdil marā zindagī meñ

    na kar pae dushman bhi jo dushmani mein

    kiya hai rafiqon ne wo dosti mein

    buzurgon se paya hai ye raaz hum ne

    hai jine ki lazzat faqat sadgi mein

    'abas hai 'ibaadat 'abas is ka taqwa

    agar aadmiyyat nahin aadmi mein

    falak tak agar tu gaya bhi to kya hai

    bahut fasla hai abhi aagahi mein

    zamane ko ab koi kaise batae

    baDi tirgi hai nai raushni mein

    bahadur mara ek hi bar 'laghar'

    kai bar buzdil mara zindagi mein

    Source :
    • Book : Nuquush-e-daaG (Pg. 251)
    • Author : Sahir Hoshiyarpuri
    • Publication : Haryana Urdu Acadami (1992)
    • Edition : 1992
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now