na karta zabt main nala to phir aisa dhuan hota
na karta zabt main nala to phir aisa dhuan hota
Shaikh Ibrahim Zauq
MORE BYShaikh Ibrahim Zauq
na kartā zabt maiñ naala to phir aisā dhuāñ hotā
ki nīche āsmāñ ke aur paidā āsmāñ hotā
kahe hai murġh-e-dil ai kaash meñ zāġh-e-kamāñ hotā
ki tā shāḳh-e-kamāñ par us kī merā āshiyāñ hotā
abhī kyā sard qātil ye shahīd-e-tufta-jāñ hotā
koī dam sham-e-murda meñ bhī hai baaqī dhuāñ hotā
na hotī dil meñ kāvish gar kisī kī nok-e-mizhgāñ kī
to kyuuñ haq meñ mire har mū-e-tan misl-e-sināñ hotā
azā-dārī meñ hai kis kī ye charḳh-e-mātamī-jāma
ki habīb-e-chāk kī sūrat hai ḳhatt-e-kahkahshāñ hotā
bagūlā gar na hotā vādi-e-vahshat meñ ai majnūñ
to gumbad ham se sar-gashtoñ kī turbat par kahāñ hotā
jo rotā khol kar dil tañgnā-e-dahr meñ āshiq
to jū-e-kahkashāñ meñ bhī falak par ḳhuuñ ravāñ hotā
na rakhtā gar na rakhtā muñh pe ye daanā marīz-e-ġham
magar terā mayassar bosa-e-ḳhāl-e-dahāñ hotā
tire ḳhūnīñ jigar kī ḳhaak par hotā agar sabza
to mizhgāñ kī tarah us se bhī paiham ḳhuuñ ravāñ hotā
rukāvaT dil kī us kāfir ke vaqt-e-zab.h zāhir hai
ki ḳhanjar merī gardan par hai ruk ruk kar ravāñ hotā
na kartā zabt maiñ girya to ai 'zauq' ik ghaḌī bhar meñ
kaTore kī tarah ghaḌiyāl ke ġharq āsmāñ hotā
na karta zabt main nala to phir aisa dhuan hota
ki niche aasman ke aur paida aasman hota
kahe hai murgh-e-dil ai kash mein zagh-e-kaman hota
ki ta shaKH-e-kaman par us ki mera aashiyan hota
abhi kya sard qatil ye shahid-e-tufta-jaan hota
koi dam sham-e-murda mein bhi hai baqi dhuan hota
na hoti dil mein kawish gar kisi ki nok-e-mizhgan ki
to kyun haq mein mere har mu-e-tan misl-e-sinan hota
aza-dari mein hai kis ki ye charKH-e-matami-jama
ki habib-e-chaak ki surat hai KHatt-e-kahkahshan hota
bagula gar na hota wadi-e-wahshat mein ai majnun
to gumbad hum se sar-gashton ki turbat par kahan hota
jo rota khol kar dil tangna-e-dahr mein aashiq
to ju-e-kahkashan mein bhi falak par KHun rawan hota
na rakhta gar na rakhta munh pe ye dana mariz-e-gham
magar tera mayassar bosa-e-KHal-e-dahan hota
tere KHunin jigar ki KHak par hota agar sabza
to mizhgan ki tarah us se bhi paiham KHun rawan hota
rukawaT dil ki us kafir ke waqt-e-zabh zahir hai
ki KHanjar meri gardan par hai ruk ruk kar rawan hota
na karta zabt main girya to ai 'zauq' ek ghaDi bhar mein
kaTore ki tarah ghaDiyal ke gharq aasman hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.