na KHushi de to kuchh dilasa de
na ḳhushī de to kuchh dilāsa de
dost jaise ho mujh ko bahlā de
āgahī se milī hai tanhā.ī
aa mirī jaan mujh ko dhoka de
ab to takmīl kī bhī shart nahīñ
zindagī ab to ik tamannā de
ai safar itnā rā.egāñ to na jā
na ho manzil kahīñ to pahuñchā de
tark karnā hai gar ta.alluq to
ḳhud na jā tū kisī se kahlā de
na KHushi de to kuchh dilasa de
dost jaise ho mujh ko bahla de
aagahi se mili hai tanhai
aa meri jaan mujh ko dhoka de
ab to takmil ki bhi shart nahin
zindagi ab to ek tamanna de
ai safar itna raegan to na ja
na ho manzil kahin to pahuncha de
tark karna hai gar talluq to
KHud na ja tu kisi se kahla de
- Book : LAVA (Pg. 129)
- Author : JAVED AKHTAR
- Publication : RAJ KAMAL PARKASHAN (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.