na koi aarzu jis mein ho wo ujDa hua dil hun
na koī aarzū jis meñ ho vo ujḌā huā dil huuñ
ġharaz be-kār huuñ ik dam jalā dene ke qābil huuñ
tujhe ulfat adū kī hai adū ko terī ulfat hai
na ab tū mere qābil hai na ab maiñ tere qābil huuñ
mujhe āsāñ na samjho apnī chaukhaT se uThā denā
baḌī mushkil se jo Taltī hai ai jaañ maiñ vo mushkil huuñ
siyah-baḳhtī meñ bhī maiñ ne vo rañg apnā jamāyā hai
kisī kī aañkh meñ kājal kisī ke gaal par til huuñ
adū par zulm dhāte ho na us ko qatl karte ho
usī par hai tumheñ da.avā ki zālim huuñ maiñ qātil huuñ
halāvat se adū ko aur mujhe talḳhī se farmāyā
tumheñ qand-e-mukarrar hoñ tumheñ zahr-e-halāhil huuñ
nahīñ mumkin tamannā-e-mulāqāt un se bar aa.e
ki vo anjān haiñ ai hazrat-e-'sābir' maiñ an-mil huuñ
na koi aarzu jis mein ho wo ujDa hua dil hun
gharaz be-kar hun ek dam jala dene ke qabil hun
tujhe ulfat adu ki hai adu ko teri ulfat hai
na ab tu mere qabil hai na ab main tere qabil hun
mujhe aasan na samjho apni chaukhaT se uTha dena
baDi mushkil se jo Talti hai ai jaan main wo mushkil hun
siyah-baKHti mein bhi main ne wo rang apna jamaya hai
kisi ki aankh mein kajal kisi ke gal par til hun
adu par zulm dhate ho na us ko qatl karte ho
usi par hai tumhein dawa ki zalim hun main qatil hun
halawat se adu ko aur mujhe talKHi se farmaya
tumhein qand-e-mukarrar hon tumhein zahr-e-halahil hun
nahin mumkin tamanna-e-mulaqat un se bar aae
ki wo anjaan hain ai hazrat-e-'sabir' main an-mil hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.