na koi dhul na manzil na rasta dil ka
na koī dhuul na manzil na rāsta dil kā
nazar se paar kahīñ duur silsila dil kā
mire dimāġh ne mujh ko jagā diyā lekin
us ek ḳhvāb meñ chehra hī rah gayā dil kā
ye raat kaun mire saath jāgtā rahā hai
ye raat kis se huā hai mukālima dil kā
har ek samt azādāriyāñ huiiñ 'qaisar'
kiyā jo maiñ ne hai barpā musālima dil kā
na koi dhul na manzil na rasta dil ka
nazar se par kahin dur silsila dil ka
mere dimagh ne mujh ko jaga diya lekin
us ek KHwab mein chehra hi rah gaya dil ka
ye raat kaun mere sath jagta raha hai
ye raat kis se hua hai mukalima dil ka
har ek samt azadariyan huin 'qaisar'
kiya jo main ne hai barpa musalima dil ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.