na koi phul na phal aur na koi patta tha
na koī phuul na phal aur na koī pattā thā
maiñ jis ke saa.e meñ baiThā vo peḌ nangā thā
chamak damak meñ tumhārā ḳhulūs hiirā thā
mirā vajūd bahar-hāl ek shīsha thā
ajiib shahr se guzrā maiñ raat ai logo
har ek shaḳhs ke chehre pe merā chehra thā
vo aadmī jise apnā samajh liyā tū ne
vo bad-nasīb to apne liye parāyā thā
mirā vajūd añdheroñ meñ ġharq thā lekin
jahāñ jahāñ bhī koī zaḳhm thā ujālā thā
na koi phul na phal aur na koi patta tha
main jis ke sae mein baiTha wo peD nanga tha
chamak damak mein tumhaara KHulus hira tha
mera wajud bahar-haal ek shisha tha
ajib shahr se guzra main raat ai logo
har ek shaKHs ke chehre pe mera chehra tha
wo aadmi jise apna samajh liya tu ne
wo bad-nasib to apne liye paraya tha
mera wajud andheron mein gharq tha lekin
jahan jahan bhi koi zaKHm tha ujala tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.