Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na kuredun ishq ke raaz ko mujhe ehtiyat-e-kalam hai

Siraj Lakhnavi

na kuredun ishq ke raaz ko mujhe ehtiyat-e-kalam hai

Siraj Lakhnavi

MORE BYSiraj Lakhnavi

    na kuredūñ ishq ke raaz ko mujhe ehtiyāt-e-kalām hai

    mirā zauq itnā buland hai jahāñ aarzū bhī harām hai

    faqat ek rishta-e-mushtarak ḳhalish-e-sukūt-e-kalām hai

    yūñhī ik zamāna guzar gayā na payām hai na salām hai

    jo charāġh-e-ashk nasīb the vahī sabr kar ke jalā diye

    vahī kāfirāna siyāhiyāñ ye vahī bujhī huī shaam hai

    abhī rakkhā rahne do taaq par yūñhī āftāb aa.ina

    ki abhī to merī nigāh meñ vahī merā māh-e-tamām hai

    mirā har nafas mirī har nazar hai razā-e-ġhair pe munhasir

    jo isī naam hayāt hai to hayāt marg-e-davām hai

    yahī mai-kada ḳhulāsa hai yahī mastiyoñ nichoḌ bhī

    tirī chashm-e-bāda-farosh meñ ye jo ek kaif-e-tamām hai

    mirī hasratoñ na ḳhuun kar nahīñ yuuñ na rok mirī zabāñ

    mirī sard aah pe shak na kar ye to merā husn-e-kalām hai

    baḌī dil-ḳharāsh sadā thī vo ki binā-e-mai-kada hil ga.ī

    ye shikast-e-tauba hai dekhtā ki shikasta-e-shīsha-o-jām hai

    hai vahī fareb-e-dil-o-nazar abhī kārobār-e-hayāt meñ

    vahī ek laġhzish-e-ḳhuld hai jo yahāñ bhī gām-ba-gām hai

    zarā dekhnā to azaan bhī 'sirāj' vaqt nahīñ rahā

    ye tulū-e-mahr hai vahī kaf-e-gul-farosh pe jaam hai

    na kuredun ishq ke raaz ko mujhe ehtiyat-e-kalam hai

    mera zauq itna buland hai jahan aarzu bhi haram hai

    faqat ek rishta-e-mushtarak KHalish-e-sukut-e-kalam hai

    yunhi ek zamana guzar gaya na payam hai na salam hai

    jo charagh-e-ashk nasib the wahi sabr kar ke jala diye

    wahi kafirana siyahiyan ye wahi bujhi hui sham hai

    abhi rakkha rahne do taq par yunhi aaftab ka aaina

    ki abhi to meri nigah mein wahi mera mah-e-tamam hai

    mera har nafas meri har nazar hai raza-e-ghair pe munhasir

    jo isi ka nam hayat hai to hayat marg-e-dawam hai

    yahi mai-kada ka KHulasa hai yahi mastiyon ka nichoD bhi

    teri chashm-e-baada-farosh mein ye jo ek kaif-e-tamam hai

    meri hasraton ka na KHun kar nahin yun na rok meri zaban

    meri sard aah pe shak na kar ye to mera husn-e-kalam hai

    baDi dil-KHarash sada thi wo ki bina-e-mai-kada hil gai

    ye shikast-e-tauba hai dekhta ki shikasta-e-shisha-o-jam hai

    hai wahi fareb-e-dil-o-nazar abhi karobar-e-hayat mein

    wahi ek laghzish-e-KHuld hai jo yahan bhi gam-ba-gam hai

    zara dekhna to azan ka bhi 'siraj' waqt nahin raha

    ye tulu-e-mahr hai ya wahi kaf-e-gul-farosh pe jam hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now