na mal-o-zar hai na saghar na baada rakhte hain
na māl-o-zar hai na sāġhar na baada rakhte haiñ
ho koī haal magar dil kushāda rakhte haiñ
mile haiñ ranj bahut phir bhī haiñ umiid se kam
ham is jahāñ se tavaqqo ziyāda rakhte haiñ
baḌhā.e haath koī dost ho ki dushman ho
ham ahl-e-ishq haiñ dāman kushāda rakhte haiñ
hamāre ishq meñ rang-e-havas ko daḳhl nahīñ
mizāj-e-ishq azal hī se saada rakhte haiñ
ġham-e-jahāñ se kabhī kam huī na mastī-e-zīst
hanūz nashsha-e-hastī ziyāda rakhte haiñ
na tang-dil haiñ na kam-hausla na tang-nazar
dil-o-nigāh hamesha kushāda rakhte haiñ
payām-e-zīst pe miTnā unhīñ ko aatā hai
jo zindagī se mohabbat ziyāda rakhte haiñ
na mal-o-zar hai na saghar na baada rakhte hain
ho koi haal magar dil kushada rakhte hain
mile hain ranj bahut phir bhi hain umid se kam
hum is jahan se tawaqqo ziyaada rakhte hain
baDhae hath koi dost ho ki dushman ho
hum ahl-e-ishq hain daman kushada rakhte hain
hamare ishq mein rang-e-hawas ko daKHl nahin
mizaj-e-ishq azal hi se sada rakhte hain
gham-e-jahan se kabhi kam hui na masti-e-zist
hanuz nashsha-e-hasti ziyaada rakhte hain
na tang-dil hain na kam-hausla na tang-nazar
dil-o-nigah hamesha kushada rakhte hain
payam-e-zist pe miTna unhin ko aata hai
jo zindagi se mohabbat ziyaada rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.