na mani usne ek bhi dil ki
na maanī us ne ek bhī dil kī
dil hī meñ baat rah ga.ī dil kī
gesū-e-yār meñ ye baat kahāñ
aur hī shai hai barhamī dil kī
khīñchte haiñ vo tiir pahlū se
kho.e dete haiñ dil-lagī dil kī
yuuñ vo nikle taḌap ke pahlū se
shakl āñkhoñ meñ phir ga.ī dil kī
ghaTtī jaatī hai un kī mehr-o-vafā
baḌhtī jaatī hai be-ḳhudī dil kī
chhoḌ do in se rasm-o-rāh 'nasīm'
chāhte ho jo behtarī dil kī
na mani us ne ek bhi dil ki
dil hi mein baat rah gai dil ki
gesu-e-yar mein ye baat kahan
aur hi shai hai barhami dil ki
khinchte hain wo tir pahlu se
khoe dete hain dil-lagi dil ki
yun wo nikle taDap ke pahlu se
shakl aankhon mein phir gai dil ki
ghaTti jati hai un ki mehr-o-wafa
baDhti jati hai be-KHudi dil ki
chhoD do in se rasm-o-rah 'nasim'
chahte ho jo behtari dil ki
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 154)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.