na manna tha meri baat aur na mani thi
na mānñā thā mirī baat aur na maanī thī
ki dil ne pahle se hī ḳhud-kushī kī Thānī thī
ye bah rahe the kisī bevafā kī furqat meñ
ai chashm ye tire ashkoñ kī rā.egānī thī
na koī raḳht-e-safar thā na ham-safar koī
miyān-e-karb-e-safar merī nauha-ḳhvānī thī
tamām vaqt hī maiñ shā.irī ko de detā
shikam kī aag bhī mujh ko magar bujhānī thī
vo le rahā thā abhī mujh se intiqām magar
maiñ jāntā thā adāvat baḌī purānī thī
mujhe kiyā dil-e-duniyā-parast ne barbād
vagarna mere muqaddar meñ kāmrānī thī
isī liye maiñ utar aayā bevafā.ī par
vafā jo va.ada-farāmosh ko sikhānī thī
vo jā basā hai mohabbat ke dasht meñ 'tanvīr'
dayār-e-husn meñ kab dil kī qadrdānī thī
na manna tha meri baat aur na mani thi
ki dil ne pahle se hi KHud-kushi ki Thani thi
ye bah rahe the kisi bewafa ki furqat mein
ai chashm ye tere ashkon ki raegani thi
na koi raKHt-e-safar tha na ham-safar koi
miyan-e-karb-e-safar meri nauha-KHwani thi
tamam waqt hi main shairi ko de deta
shikam ki aag bhi mujh ko magar bujhani thi
wo le raha tha abhi mujh se intiqam magar
main jaanta tha adawat baDi purani thi
mujhe kiya dil-e-duniya-parast ne barbaad
wagarna mere muqaddar mein kaamrani thi
isi liye main utar aaya bewafai par
wafa jo wada-faramosh ko sikhani thi
wo ja basa hai mohabbat ke dasht mein 'tanwir'
dayar-e-husn mein kab dil ki qadrdani thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.