na mahfil aisi hoti hai na KHalwat aisi hoti hai
na mahfil aisī hotī hai na ḳhalvat aisī hotī hai
mire ma.abūd kyā jiine kī sūrat aisī hotī hai
bas ik kaifiyyat-e-ḳhud-raftagī tanhā.iyāñ apnī
hameñ miltī hai fursat bhī to fursat aisī hotī hai
ye duniyā sar-ba-sar rañgīniyoñ meñ Duub jaatī hai
tirī qāmat kī har shai meñ shabāhat aisī hotī hai
dar-o-dīvār par bas ek sannāTe kī raunaq hai
mire mehmāñ se pūchho ghar kī jannat aisī hotī hai
kahāñ apnī siyah-kārī kahāñ ye terī ma.asūmī
tujhe dekhā nahīñ jaatā nadāmat aisī hotī hai
koī dekhe tujhe to az-sar-e-nau zindagī māñge
rivāyat jhuuT hai qātil kī sūrat aisī hotī hai
ye majbūrī, mohabbat bhiik jaisī bhī gavārā hai
kabhī din raat ko terī zarūrat aisī hotī hai
bichhaḌ kar tujh se milne kī masarrat bhuul jaatā huuñ
ki mil kar phir bichhaḌne kī aziyyat aisī hotī hai
na mahfil aisi hoti hai na KHalwat aisi hoti hai
mere mabud kya jine ki surat aisi hoti hai
bas ek kaifiyyat-e-KHud-raftagi tanhaiyan apni
hamein milti hai fursat bhi to fursat aisi hoti hai
ye duniya sar-ba-sar ranginiyon mein Dub jati hai
teri qamat ki har shai mein shabahat aisi hoti hai
dar-o-diwar par bas ek sannaTe ki raunaq hai
mere mehman se puchho ghar ki jannat aisi hoti hai
kahan apni siyah-kari kahan ye teri masumi
tujhe dekha nahin jata nadamat aisi hoti hai
koi dekhe tujhe to az-sar-e-nau zindagi mange
riwayat jhuT hai qatil ki surat aisi hoti hai
ye majburi, mohabbat bhik jaisi bhi gawara hai
kabhi din raat ko teri zarurat aisi hoti hai
bichhaD kar tujh se milne ki masarrat bhul jata hun
ki mil kar phir bichhaDne ki aziyyat aisi hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.