na manzil na rah-e-adam dekhte hain
na manzil na rāh-e-adam dekhte haiñ
magar jaane vāloñ ko ham dekhte haiñ
ajab naaz se haath siine pe rakh kar
vo bīmār-e-hijrāñ kā dam dekhte haiñ
javāb ḳhat-e-shauq kī ye ḳhalish hai
vo nāḳhun pe zor-e-qalam dekhte haiñ
mohabbat ke aañsū bhare chashm-e-tar meñ
habāboñ meñ jū-e-karam dekhte haiñ
kahāñ ho 'hayāt' ag guzartī hai kaisī
idhar aate jaate bhī kam dekhte haiñ
na manzil na rah-e-adam dekhte hain
magar jaane walon ko hum dekhte hain
ajab naz se hath sine pe rakh kar
wo bimar-e-hijran ka dam dekhte hain
jawab KHat-e-shauq ki ye KHalish hai
wo naKHun pe zor-e-qalam dekhte hain
mohabbat ke aansu bhare chashm-e-tar mein
hababon mein ju-e-karam dekhte hain
kahan ho 'hayat' ag guzarti hai kaisi
idhar aate jate bhi kam dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.