na manzil se na manzil ka nishan tak
na manzil se na manzil kā nishāñ tak
junūñ le jā.egā āḳhir kahāñ tak
jahāñ mamnūa hai shaġhl-e-fuġhāñ tak
vahāñ shikve agar aa.e zabāñ tak
na uThvāo hameñ mahfil se apnī
baḌī mushkil se aa.e haiñ yahāñ tak
tumheñ mahsūs hogā saath huuñ maiñ
mujhe aalam meñ DhūñDoge jahāñ tak
ham un rāhoñ pe tanhā chal rahe haiñ
jahāñ gum ho ga.e haiñ kārvāñ tak
qafas hī meñ bahut achchhe the 'bismil'
milā kyā aa ke ujḌe āshiyāñ tak
na manzil se na manzil ka nishan tak
junun le jaega aaKHir kahan tak
jahan mamnua hai shaghl-e-fughan tak
wahan shikwe agar aae zaban tak
na uThwao hamein mahfil se apni
baDi mushkil se aae hain yahan tak
tumhein mahsus hoga sath hun main
mujhe aalam mein DhunDoge jahan tak
hum un rahon pe tanha chal rahe hain
jahan gum ho gae hain karwan tak
qafas hi mein bahut achchhe the 'bismil'
mila kya aa ke ujDe aashiyan tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.